Kabhi Aanso,Kabhi Khushbo,Kabhi Nagma Bankar
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar
Chand Nikla Hai Tere Aankh Ka Aanso Bankar
Meri Jaagi Hui Raatoun Ko Hai Ussi Ki Talaash
So Raha Hai Jo Meri Aankh Me Sapna Bankar
Dil Ke Kagaz Pe Jo Utarta Hai Shair Bankar
Mere Hontoun Pe Jo Machalta Hai jo Nagma Bankar
Mera Kya Haal Hai Yeh Kabhi Aake Dekh Toh le
Jee Rahi Hoon Tera Bhoola Hua Wada Bankar
Dhoop Me Woh Kho Gaya Hath Chudhakar
Ghar Se Jo Chala Tha Mera Saya Bankar
No comments:
Post a Comment