Tuesday, April 21, 2009

Wah Wah..!


Pyaar sacha ho toh waqt ruk jata hai
Asman lakh uncha ho magar jhuk jata hai
Pyaar mein duniya lakh bane rukawat
Agar hum-safar sacha ho toh khuda bhi jhuk jata hai


Ikrar mein shabdo ki ehmiyat nahi hoti
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti
Aankhen bayaan kar deti hai dil ki dastaan
Mohabbat lafzo ki mohtaj nahi hoti

Kismat pe aitbaar kisko hai
Mil jaye aap ka pyaar iss khushi se inkaar kisko hai
Zindgi mein kuchh majburian hain dost
Warna judai se pyaar kisko hai

No comments: