Monday, April 12, 2010

Aur hum haar gaye mohbbat ke imtihan me.



Samander me doob gaye kinaro ki talash me,
Mohbbat pani bhi chahi to isharo ki talash me.
Jab ishara mila unse bewafae ka to,
Kadam apne aap chal diye maut ki talash me.
Chhod ke gaye vo hame ese halat me,
Dil roya bahut ho jese barsat me.
Kisi ko bhi pukarun me ab kya fayada,
Unka hi naam aata hai hamari awaaj me.
Poori duniya roti hai uski bewafae par,
Par unhone to iljam lagaya hamari wafae par.
Tut chukka hai dil tanhaeyan hai charon aur,
Kese jiya jaye sanam bewafaa ke iljam me.
Bahut ho chukka ishq-mohbbat ka khel,
Ab jeene do hame unki judae me.
Bura tha mein aur buri thi meri mohbbat,
Ab jeene do hame isi burae me.
Vo ishq ki har baji jeet gaye hamse,
Aur hum haar gaye mohbbat ke imtihan me.

No comments: